Asslam o Alaikum friends. Ap sab ka bohat shukariya ke ap log meri is site par aye hain.Aj kal har koe blog hi bana rha hai or yehi chahta hai ke wo isse paise kamay.Lekin kuch galtiyo ki waja se wo is se paise nahi kama sakta jis waja se wo mayoos ho kar or ye soch kar blogging karna chord daita hai ke ye bohat mushkil kam he main nahi kar paoun ga.Jo ke bilkul galat sochta hai.
Aaj main apko bataoun ga ke blog kiya hai? or ham kis tarha blog ko success kar sakte hain.Main is post main kuch tips btaoun ga jin ko ap follow kar ke aik ache blogger ban sakte hain.Toh doston time waste karne ki bajay sidha point par ate hain.

Blog Kiya Hai?

 Blog asal me google ki hi aik company hai jis ne logon ko aik free me apni website banane ka mauqa diya hai.Blog bhu aik website ki tarha hi hai. Jise ham apni marzi se jaise chahain design kar sakte hain.

Ye bhi pare
Website bnane ke liye kiya zaroori hai
Post ko adit karne ki puri jankari
Blog ko access bnane ke 4 bariya tareeqe
Blog main post kaise likhe
Revenuehits ker ads kaise lagain blog main

Blog Kiyo Banate Hain?

Bohat ziyada tar log paise kamane ke liye banate hain.Or bohat se log apne articals logon ke sath share karne ke liye bnate hain. Lekin jab ham blog ya koe website create karte hain or us me ache ache articals bhi  dalty hain toh Jab koe un articals ko log nahi daikhty toh hame bohat dukh hota hai.Lekin ab fiqar karne ki zaroorat nahi hai.Main apko bataoun ga k   ap apni posts kaise search me la sakty hain or kaise apni site par visitor barha sakte hain.
How to increase blog traffic

Blog Ko Design Karna.

Blog ko aisa design jare k jo aik bar ap ke blog main aye toh us ka bar bar ap k blog me ane ka dil kare.Blog   ko design karne ke liye google main bohat sare template diye gay hain.Ap un tempates main se koe bhi acha sa template select kar sakte hain.Lekin yaad rakhe template mobile friendly hona chahiye.Kiyo ke bohat ziyada log internet mobile se open karte hain.Agar apka template mobile friendly na ho toh blog mobile main jaldi load nahi hota jis waja se bohat si traffic hame nahi mil pati.

Blogger Widget.

Blog ke widget achy achy hone chahiye or ziyada na hon. Sirf chand aham aham hi widgets hony chahiye. Ap apni marzi se bhi widgets use kar sakty hain.

Articals likhain

Ap ke blog main ache ache or uniq articals hone chahiye ta ke Ap ke articals ko jo bhi pare use ap ke artical se kuch na kuch help zaroor ho.Or agar ap adsense ke liye bhi apply kare toh apko copyright ka issue na aye.

Comment karne ke liye kiya zaroori hai

Mujhe umeed hai ke apko meri ye post zaroor pasand aye ho go.Agar apko koe or jankari bhi chahiye ho toh mujhe comment kar ke puch sakte hain.Apne doston ke sath post share karna na bhulain.

Post a Comment

  1. Are you looking to make money from your websites/blogs via popunder ads?
    In case you do, did you take a look at PopCash?

    ReplyDelete

Thank You for comment

 
Top