Asslam o Alaikum friend It Village main apka welcome hai. Jaisa ke ap sab jante hain ke technology aj ke is dor main bohat ziyada taraki kar gae hai or har insan ke pass ziyada nahi toh aik andriod phone zaroor hota hai.Har andriod user yehi chahta hai ke wo apne mobile ke bare main ziyada se ziyada jan sake or isse faida hasil kar sake.
Aaj main ap k liye Andriod ki aik trick le kar hazir huwa hu.Ap ke pass agar smart phone hai toh ap ke us mobile main kuch parsonal data bhi zaroor mojud ho ga.Or ap ne use chupane ke liye pattern zaroor lagaya ho ga.Lekin bohat se doston ke sath aik problem a jati hai ke wo apna Pattern bhul jate hai jis waja se unhain bohat preshan hote hain.Aj main aap ke liye aik aisi trick le kar aya hu jis ki waja se ap bohat asani ke sath apna mobile Pattern open kar sakte hain.Lekin Usse pehle ham ye jan laite hain ke ham pattern kiyo lagate hain?
Unlock Andriod Pattern

Pattern Kiyo Lagaya Jata Hai Mobile Par?

Yaqinan ap ke zehan main ye sawal paida huwa ho ga ke pehle Mr.A ne bata diya ke ham pattern kiyo lagate hain ab phir usi ke bare main kiyo batane lage hain? 
Toh dosto mera jawab ye hai ke main dobara heading de kar is liye batane laga hu ke jin ko nahi pata un ko ache se  samaj a jay.

NOTE;* Maine ye site time pass ke liye nahi bnai or na hi paise ke liye bnai hai.Maine ye site sirf friends ki help ke liye bnai hai.Or shayad yehi waja hai ke Bohat se friends is site ko passand bhi karte hain.

Ab ham jate hain ke ham Pattern kiyo lagate hain. Dosto Pattern ham apne mobile par lagate hain kityo ke us main hamara bohat sara parsonal data mojud hota hai.Or ham nahi chahte ke koe bhi hamara wo data chori kar sake. Wo data hamri parsonal videos bhi ho sakti hain, mobile numbers, pictures  kuch bhi parsonal data ho skta hai.
Jab ham apne doston ke pass jate hain toh hame yehi dar rehta hai ke koe hamara data chori na kar le ya daikh na lai.Toh isi liye ham Pattern use karte hain ta ke hamara data mehfooz reh sake. Lekin jab hame Pattern bhol jata hai toh hame bohat pareshani hoti hai. Or aj main isi liye post likh raha hu ke ap jan sake ke ap apna bhula huwa pattern kaise open kar skte hain.


Andriod Pattern Kaise Open Kare?


Aj main ap ko bataoun ga ke agar ap apna pattern bhul gay hain toh kiya karna chahiye jis se apka mobile phir se open ho sake.Ap ko bas mere stups ko follow karna ho ga.
Agar ap Apne mobile pe lagaya huwa pattern Bhul gay hain toh ap in kuch steps ki help se apna mobile open kar sakte hain.

Method #1.

Log In For Recover Pattern

Step 1.
Agar ap apna andriod mobile ka pattern bhul gay hain toh sab se pehle ap kuch daire us pattern ke bare main socho agar yaad na aye toh ap apne pass se 7,8 bar galat pattern lagain toh ap ke mobile par 30 sec ka time start ho jay ga.
Ap apne mobile ki screen ke right korner par daikhe apko forgot pattern nzar aye ga use par click kare.

Step 2.
Ap ap ke mobile par a raha ho ga Enter username & Password.Apna Email jisse apne play stor open kiya tha wo wala email & Password lagain.

Step 3.
Ab a apna email & Password lagane ke baad use Log in Kare.

Mujhe umeed hai ke apka Pattern Unlock ho jay ga. Lekin agar ap apna emmail bhi bhul gay hain ya pass bhul gay hain toh phir ap Ye steps Follow kare.

Related Articals
How to open PDF file in andriod mobile
How to add image in andriod keyboard
Get free balance in all sims
How to save internet data in andriod mobile

Method #2.

Ap ka pattern abh tak open nahi huwa toh ap in steps ke through apna pattern unlock kar sakte hain.
         
Restore andriod mobile without open pattern
Step 1.
Sab se pehle ap apne mobile ko off kar lain.

Step 2.
Ab ap apne mobile main Volum down + Menu + Power button ko aik sath press kare. or us waqat tak in buttons ko presss kar ke rakhe jab tak ap ke mobile ki screen par khud hi aik vindow open na ho jay.

Step 3.
Ab ap ke mobile par aik aisi window hai jis ko shayad ap kam hi jante hon ya agar ap jante hain toh bohat hi achi bat hai. 
Anyway ab ap data restor ke option par click kar dain.Lekin agar ap ka mobile china language main hai toh downt worry ap sab se end waly option se uper wale option par click kar dain.

Step 4.
Ap ka mobile restart ho jay ga kuch dair entzaar kare. Restart hone main mobile time le ga gabrane ki zaroorat nahi.
Ab ap ka pattern unlock ho chuka hai.
Main boaht jald andriod ki aik or post bhi share karu ga jis me main apko btaoun ga ke ap kaise apne kisi aik folder ya apne mobile ke sirf aik app ko lock kar sakte hain.Agar ap ye janna chahte hain toh ap It Village ka visit karte raha kere.Inshallah bohat jald main post karu ga.
Is ke ilawa it Village main ap ke janne ke liye bohat si information mojud hain or bohat si new posts bhi publish hoti hain.Is liye ap un posts ko bhi read kiya kare or apne friends ke sath bhi share kiya kare.Ta ke wo bhi jan sake.
Mujhe umeed hai ke ap ko meri ye post passand aye ho gi apne doston ke sath zaroor share kare aur It Village ka visite kare raha kare.
KHUDA HAFIZ.

Post a Comment

Thank You for comment

 
Top