Aslam o ALaikum friends. Aj main apko btaoun ga ke ap kaise apna internet data bacha sakte hain zaya hone se .Jaisa ke ap jante hain ke Internet aj kal har aik insan ki zaroorat ban gaya hai.Internet  package aik mint ke liye khatam ho jain toh aisa mahsoos hota hai jaise ham kisi or hi duniya main a gain hain.Lekin aksar aisa bhi hota hai ke jan ham 3G & 4G package karte hain toh wo apni limmit se pehle hi data khatam ho jata hain .Jo ke bohat preshani ka bais  banta hai.
Internet Data Bachain

Lekin ab pareshan hone ki zaroorat nahi.Aj main apko ye btaoun ga ke ap kaise apne internet package ke data ko save rakh sakte hain or kaise ham pure time tak package istimal kar sakte hain.
Sumsung ke secret code jane ke liye abhi Click kare

Internet

Ap maire steps k follow kare toh umeed hai ke ap bhi apna internet package long time  tak use kar sakte hain.

#1. Registered Background data.

Andriod mobile main kai aisi applications hoti hain jo bachground main bhi chalti hain.Bachground main applications ko off karne ke liye ap apne mobile ki "Setting" main jain or "Data Used" ke option par ja kar  Background data ko off kar dain.Isse apki bachgroung ki applications off ho jain gi or apka internet data zaya bhi nahi hoga.Jisse ap ka bohat sa data bach sakta hai.

#2. Manual Update Select Kare.

Ap ne aksar daikha ho ga ke jab ap apne andriod mobile ka internet connection on karte hain toh ap ki kuch applications jaise ( Facebook, Google Map ) etc Khud hi update hona start ho jate hain.Jis waja se bohat sara data Use ho jata hai.Lekin gabrane ki zaroorat nahi hain is ka bhi hal hai mere pass.
Ap Play Store ki "Setting" main jain.Waha "Auto Update App" Main diye "Do Not Auto Update App" ko select kar lain.Phir ap ke Apps auto update nahi hon ge jis se ap ka bohat sara data use hone se bach sakta hai.

#3. Game Khailte Waqat Mobile Data Off Rakhe.

Jab ap apne andriod mobile main game open karte ho toh Game khailte waqat ap ne aksar daikha ho ga ke games ke kuch links a jate hain jis par click hone ke baad Wo game ya application download hone lag jati hai.So game khailte waqat ap apne mobile ka Internet Connection off kar ke bhi data use hone se bacha sakte hain.

#4. Web App Calling

Maine aksar daikha hai ke bohat se log Belance bachane ke liye bohat se friends Calling apps use karte hain jo ke bohat mehnge hote hai yahi bohat ziyada data use hota hai us apps se.So apps se call apni country ke liye hi behtar hai.

Toh Friends ye thin kuch important tricks jin ko istimal kar ke ap kafi data save kar sakte hain or long time tak apna internet use kar sakte hain.Ap ko meri ye post kaisi lagi comment kar ke zaroor batain.Apne doston ke sath is post ko share karna na bhule.
Shukarya.
Next
Newer Post
Previous
This is the last post.

Post a Comment

Thank You for comment

 
Top