Asslam o alaikum friends. Online Internet Help main apka welcome  hai.
Mujhe bohat se friends pochte hain ke bhai kiya ham kiya ham adsense ke ilawa kisi or company ke zariye bhi paise kama sakte hain ya nahi?
Toh aj maine isi liye ye post ke hai.  Bohat se friends ye bhi sochte hain ke adsense ke ilawa or koe bhi method nahi hai paise kamane ka. Ye soch un ki bilkul galat hai.  Bohat si aisi companies hain jo apko ads daiti hain blog/Website ke liye.
Or aj main aisi hi aik company ko ap ke sath share karne ja raha hu jo apko Apki website ke liye ads daiti hai. or sab domains jain (abc.blogspot.com , abc.wordpress.com) ko bhi accpt karti hai.
Us company ka name infolinks  hai jo apko ads daiti hai or ap achi khasi earning kar sakte hain is ke  zariye. 
Infolinks earn money


Ye bhi pare
Adsense ke liye apply kaise kare.
Youtube se paise kaise kamain
Blog ko access bnane ke liye kiya hai zaroori abi jane

Infolanks pehla ad network hai jo ads ke concept par kam karta hai.Is main koe bhi link add karne ki zaroorat nahi hoti balke hamari pwebsite main jo post hoti hain us un ke ilfaz ko hi add main badal daiti hai.Visitor ko bhi koe parehani nahi hoti or hamari income bhi achi hoti hai.
Infolinks aik aisa network hai jo 2007 main start huwa tha jo text adverting karte the par bad main inho ne or bhi bohat si cheeze apne ads network main shamil kar lin. Jis se income ko or bhi barhaya ja sake.

Ab apke zehan main or bhi bohat se sawal aa rahe hon ge Toh chaliye un sawalon ka jawab bhi daikhte hain.


Infolinks ke ads

IInfolinks 5 tarha ke ads deskati hai. Intext ads, Infold ads, Intag ads, Inframe ads, Inscreen Ads.

1.Intext ads.


Intext ads wo ads hain jo ap ki post ke ilfaz ko hi ads main badle diya jata hai. Yani apke jo post ki hai uske ilfaz ko  Ads main tabdeel kar diya jata hai. Is ka faida ye hota hai ke apke visitor  ko ziyada pareshani nahi uthani parti or wo asani ke sath ap ki website par a skta hai orpost read kar sakta hai.

2.Infold ads.


Infold ads bhi aik bohat acha tareeqa hai paise kamane ka. Infold ads wo ads hote hai jo visitor google main search kar ke ata hai or jab visitor search kar ke hamari website par ata hai toh usse milte julte ilfaz screen ke neeche se ate hai jaise apne aksar kisi app wagera main dekha hoga.

Intag ads.



Intag ads bhi bohat ache ads hote hain. In ads main apki website ko scan karne ke vad apki website se relateds ads ki list a jati hai. Agar koe visitor in ads par click bhi karta hai toh aik pupop window open ho jati hai. In ads ko ap apni marzi se set bhi kar sakte hain.

Infame ads.


Ye ads hamari website ki dono taraf jo space hoti hain us main ate hain. Or hamari website se related hi ads ate hain. Is liye in ads par click karne ka chanse bar gata hai.

Inscreen ads.


Ye ads post ke links main ate hain or ik pupop window ki tarha khul jate hain. Jisse is ads par click karne ks chance intext ads ki nisbar or bhi ziyada bar jata hai.
Toh friends ap ye toh jan chuke hon ge ke  infolinks  kam kaise karta hai  or kitni qisam ke ads hain is main. 
 Ap infolinks ko asani ke sath use kar sakte hai or  is ka tareeqa bho bohat asan hai. Is ke ilawa is ki itni conditions bhi nahi hain. Jo main apko agli post msin btaoun ga ke Infolinks ki terms & condition kiya hain.

Infolinks  Payment kaise  karta hsi ye bhi ap ke zehan main a raha ho ga.Us ki puri jankari maine di hai abhi Abhi yaha click kare

Post a Comment

  1. Hasnain Zulafqar18 June 2016 at 19:13

    Bhai infolinks ka account nahi mil raaha please help me

    ReplyDelete
    Replies
    1. Hasnain bhai infolinks espanol or english ko sapport karta hai. Ap apni site ki language check kare.

      Delete
  2. Asslam o alaikum bhai or bhi ads websites ke bre main batain na jin ki earning achi ho.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walaikum asslam zahd bhai.Main bohat jald or bhi ads network sites ki posting karu ga. Inshallah

      Delete

Thank You for comment

 
Top