Asslam o alaikum friends. It Village main apka welcome hai.Bohat se friends online paise kamana chahte hain lekin Nahi kama sakte.Bohat se friends blog bnate hain lekin Adsense desprove ho jata hai.Jisse blogger ko bohat dukh hota hai.Main adsense ke bare main bhi apko post likhu ga ta ke apko us ki ache se rehanmae ho sake.
Lazmi nahi ke adasense hi ho.Or bhi bohat si sites hain jo bohat achi pay karti hain.Or maine apko pichli post main bataya tha ke infolinks kiya hai.Infolinks bhi aik acha network hai jo pay karta hai.Aj meri is post ka taluk na adsense se hai or na hi Infolinks ke ads ke bare main hai.
Jaisa ke maine apko pehle btaya ke me pichli  post me  apko bta chuka hu ke ap infolinks se ap paise kaise kama sakte hain or infolinks ke ads kaise apni site par laga sakte hain or kitni kisam ke ads  apko infolinks daita hai. agar apne wo post nahi pari toh pehle wo wali post zaroor par lain. Infolinks kis qisam ke ads daita hai.
Aj main apko btaoun ga ke infolinks payment kaise karta hai.
Lekin us se pehle ye jan lain ke Infolinks hai kiya or Use ham kaise use kar sakte hain.Ye janne ke liye yaha click kare.

Revenuehits ke ads kaise lagain

Infolinks payment kaise karta hai?

Ham jo bhi kam karte hain sab se pehla sawal jo hamare zehan main ata hai wo ye hai ke hame payment kaise mile gi.Aj main apko btaoun ga ke ap infolinks se payment kaise niklwa sakte hain.
Infolinks ke payment option me hame jo options milte hain un ke bare main aj main apko tafseel se btaoun ga. Toh chaliye daikhte hain ke infolinks main hame kon kon se payment options milte hain? Or ham kitne paise nikalwa sakte hain?

1.paypal 

Paypal bohat hi achi service hai jisse ham bohat asani se paise niklwa sakte hain. Agar apka paypal ka account nahi hai toh pehle paypal ka account bana lain.
Infolinks  se sp psypal main $50 dolar nikalwa sakte hain ya isse ziyada bhi.

2.Echack

Echack se ap $50  tsk paise nikwa sakte hain or ye aik acha online  bank hai.

3.Ach

Ach bhi aik online bank hi hai jo Bohat achi payment karta hai. Lekin ACH sirf U.S bank account hi hai or U.S main hi istimal kiya ja sakta hai.
or is main ham kam se kam $50 tranfor kar sakte hain.

3.Payoneer

Payoneer bhi aik acha method hai online money tranfer ka. Is main bhi ham $50  se kam money tranfer nahi kar sakte.

4.Bank Wire Transfer

Bank wire bhi online money tranfer ka aik acha method hai. lekin is main ham $100  Se kam money tranfer nahi kar sakye Infolinks se.

5.Western Union

Ye bhi aik acha online bank hai jo online money tranfer karta hai. lekin is main bhi ham Infolinks se $100 se kam money tranfer nahi kar sakte.
Toh Friends ye the kuch online banks jin ke zariye ham Infolinks  se apne paise tranfer kar sakte hain.
Agar ap ko or bhi jankari chahiye toh post ke niche comment kar ke poch sakte hain.Or apne friends ke sath ziyada se ziyada share kare.

Post a Comment

Thank You for comment

 
Top