Asslam o alaikum friends. It Village main ap ka welcome hai. Friends jaisa  ke ap logon ko pata hai ke maine it village par blog me hone wali problems ke bare main articals likh raha hu toh Aj meri ye post un ke liye hain jinho ne new blogging start ki hai. Bohat se log blogging sirf paison ke liye start karty hain jis ki waja se wo kamiyab nahi ho pate.
Aaj main ap ko kuch tips du ga jisse ap bohat asani ke sath apne blog me success ho sakte hain. Toh dostoh time zaya na karte huwe main apko bata hu ke new blogger ko kin kin baton ka khiyal rakhna chahiye blogging karne ke liye.

Top tips for blogging
Pehle ye pare

#1.Kamiyab blogger kaise bane?

Wo log jo blogging karty hain wo kamiyab kiyo nahi hoty is ki waja kiya hai.Is ki bohat si wajohat hain.Ap ko agar online me ik pehchan bnani hai toh ap apni mehnat kare. Apne articals likhe. Blog main kamiyabi ke liye bohat hi sabar ki zaroorat hoti hai or bohat mehnat ki.Ta ke ap blogging me success ho sake.Jo log ye sochte hain ke bina mehnat ke hi sab kuch hath a jay ga wo bilkul galat sochte hain.Agar bina mehnat ke hi sab kuch hath ata toh Kabhi bhi Log mehnat na karte.Chahe wo internet pe mehnat ho ya kahi or.

#2.Dosron ke articals copy karne ka muqsan.


 1.Dosry k articals chura kar likhne se kuch nahi milta or na hi apni koe pehchan bnain.Dosron ke articals chori karne se ap kamiyab nahi ho sakt. Online world main apni ik pehchan banain.
2. Kisi or website se copy kiya huwa articals ho sakta hai ap k visitors ko pasand na ain.
3. Ho sakta hai ap jis ke articals copy kar rahe hon wo google par apki c0mplain kar de.Google par complain karne se apki post google mai search nahi hogi.
4. Agar ap apni mehnat kare ge toh log apko pehchanain ge.Ap ko us ka phal mile ga.Dosron ki chori ki hue chiz kuch kam nahi ati.

#3.Blog start karne se pehly kiya zaroori hai?

1.Blog bnane k liye ap ko blog ki puri jankari honi chahiye. Ta ke ap apni aik pehchan 
2. Aise articals dale apne blog main jin ka koe maqsad ho. Jo ap ke visitors ko bhi bohat ache lage.
 3.Aise articals likhy jisse kisi dosre ki madad bhi ho.
Or sab se zaroori baat.

#4 Blog ka topic kaisa hona chajiye?

Blogging start karne se pehle apko achi tarha se soch laina chahiye k ap kis topic me sab se ziyada intrest hai. Tabhi ap us topic par blog bnain jo apko acha lagta ho.BTopic bohat hi aham hisa he blog ka.
Mera manna hai ke insan ko wo karna chahiye jis me us ka sab se ziyada interest ho.Kiyo ke agar wo kisi or ke kehne par kam start kar bhi de ga toh koe faida nahi.Kiyo ke wo kuch dino bad us ko chord de ga or us kam me uas ka dill nahi lage ga.

Agar apko blog se mutaliq koe bhi jankari chahiye ho toh ap mujhy comment kar ke poch sakte hain. Mujhy apki maddad kar ke khushi hogi.

Post a Comment

Thank You for comment

 
Top