Asslam o Alaikum friends.Aaj ki post ap ke liye bohat hi aham he.kiyo ke main apko aaj btaoun ga ke ap akise blog bana sakte hain.Lekin usse pehle ham bat kar laite hain ke blog hai kiya chiz?Or ham blog kiyo banate hain?


How to create a blog


Blog kiya hai?

Blog bnane se pehle ye jan laina bohat zaroori hai ke blog hai kiya?
Blog aik google ki hi website hai. Jo hame bilkul free main website bnane ki parmission daiti hai.Aj kal bohat ziyada log blogging kar rahe hain. kuch log apne shoq ki waja de blogging kar rahe hain or kuch log paise kamane ke liye blogging kar rahe hain.Ye toh ap ja chuke hain ke blog kiya hai or ye kis ki product hai.Lekin bohat se log ye nahi jante ke blogging karte kaise hain.Blog bana laite hain lekin visitors nahi ate.Jis waja se wo blogging karna chord daite hai.
Maine It Village main blogging ki fuyll training ka course start kiya hai.Jis ka maqsad sirf yehi he ke ham kaise apne blog ko success kar sakte hain.Or kaise online paise kama sakte hain blog ke througn.Aj main apko bta raha hu blog ke bare main or muje puri umeed hai ke apko meri ye post jo ke blog ki jankari ke mutaliq hai zaroor passand aye gi.Ab baat karte hain adsense ki jo ke blog ka sab se aham hissa hai.Aye jante hain ke adsense kiya hai.

Adsense kiya hai?

Adsense google ki hi aik product hai.Adsense se ham bohat asani ke sath paise kama sakte hain.Adsense aik ads network hai jo ke hamari site par ads dikhata he jisse ham ko paise milte hain.Lekin adsense ka account hasil karna Pakistan main sab se mushkil kaam hai.Google ne adsense Pakistan main ban kar rakha tha pichle kae salon se jiski waja se ham ko blog bnane ke bad 6 month intizar karna parta tha Google Adsense  par apply karne ke liye. 
Kiyo ke   Pakistan  main Adsense Account  bain tha. Or bohat se friends blogging kar kar ke thak jate the or phir bhi adsense account enable nahi hota tha.
Lekin ab aisa nahi hai. Kiyo ke  Pakistan main ab Adsense enable kar diya gaya hai. Toh ab dair kis bat ki. Abhi aik blog bnain or adsense account hasil kare.Lekin abhi bhi adsense ke liye kuch terms and conditions hain jo ke main apko agli post main bataoun ga.

Blog bnane ke liye kiya zaroori hai?

Blog bnane ke liye kuch chizo ki zaroorat hoti hai.Jin main se chand aik ye hai.
Blog bnane ke liye aik gmail id ki zaroorat parti hai. Agar ap ke pas gmail id hai toh abhi Yaha Click Kare Or Blog Bnain  Yaha Click Kare Or Blog Bnain
Lekin blog bnane se pehle ye post par lain.New Blogger Ke Liye Important Tips

Umeed hai ke apko meri ye jankari passand aye ho gi.Agar ap ko is se related koe bhi jankari chahiye ho toh ap mujhe comment kar ke puch sakte hain.Inshallah apki it village par puri help ki jay gi.It village ki posts apne dosto ke sath bhi share kiya kare ta ke un ki bhi madad ho sake.


Post a Comment

Thank You for comment

 
Top