Hello friends It Village main apka welcome hai.Jaisa ke ap sab jante hai ke facebook aj ki sab se bari zaroorat ban gaye hai.Or sab se bari websites main se 2sre number par hai. 1st number par Google 2nd number par Facebook or  3rd number par Youtube hai.
Facebook par na sirf ham apne reletives se baat kar sakte hain balke aaj kal toh ham facebook ke through apna business bhi promote karte hain.Aj kal 85% log facebook use kar rahe hain or jin logon ka business hai wo apna business bhi facebook ke through promote kar rahe hain.Facebook aj kal har insan ki zaroorat ban kar reh gae hai.Aj kal bohats e log facebook ke through paise bhi kama rahe hain.
Lekin kam me masroof rehne ki waja se daily facebook par statuse bhi upload nahi kar sakte.Lekin dontworry aj main ap ke liye is ka bhi hal le kar aya hu.Or ap bohat asani ke sath apni website ki kowe post ya apna online business update kar sakte hain.Wo bhi bina facebook use kiye.Yaqeen nahi a raha na.Lekin aisa ho sakta he.Agar ap online nahi bhi hon ge toh tab bhi ap apna status facebook par upload kar sakte hain.
Agar ham apni facebook account ka statuse active rakhna chahte hain toh hame roz posts karni chaiye.Lekin busy hone ki waja se statuse upload nahi kar sakte toh is liye aj main un logon k liye jo daily facebook statuse upload karna chahte hain ke liye aik website le kar aya hu.Toh doston aye ab jante hain ke ham facebook statuse kaise upload kar sakte hain bina facebook par online huwe.

Apna statuse kaise upload kare facebook par

Ye aik bohat hi achi site hai jo apko bina online huwe apka statuse facebook par upload karti hai.Sab se bari bat ye bilkul free hai is ka koe recharge bhi nahi hai. Agar ap daily statuse upload karna chahte hain toh mere in stups ko follow karte jain.
Step 1. Sab se pehly ap laterbro.com par jain.
Step 2. Laterbro use karne k liye apko facebook account log in karna pare ga.Facebook par click kare. Or phir agy jo window open ho gi use OK kar dain.
Facebook statuse upload
Step 3. Ab laterbro ka dat/time select kare

Step 4. Ab ap Next page par

Facebook statuse upload kaise kare

Step 5. Apna statuse dale
Step 6. Date select kare.
Step 7. Time select kare.
Step 8. Profile select kare
Step 9.  Schedule par click kare.
Dosto It Village ka visite karte raha kare.

Toh dosto ye tha facebook par online hone ke bagair statuse upload karna.Umeed hai ke apko meri ye post pasand ae ho gi.main pehle hi apko bta chuka hu ke ap is ke through daily statuse upload kar sakte hain.Or apne business ko or ziyada barha sakte hain.
Meri ye post apne doston ke sath bhi share zaroor kare ta ke un ke Ilam main bhi ye jankari a sake.Or mujhe comment kar ke batain ke apko meri ye jankari kaisi lagi.

Post a Comment

Thank You for comment

 
Top