Ap sab jante hain ke Technology aj kal bohat ziyada taraqi kar rahi hai.Har roz bohat ziyada Softwares publish ho rahe hain.Insan Technology ke is dor main itni taraqi kar gya hai ke socha bhi nahi ja sakta.Bohat se new Softwares a rahe hain har roz.Aj ki meri post Andriod se mutaliq hai ke ham is jadid technology ke dor main kis tarha apni files doron ke sath share kar sakte hai.
Pehle pehle ham files Bluetooth ke sath share karte the jo ke aj kal Technology ki taraqi ke saath sath hame bohat se aise softwares available ho gay hain jin se ham bohat asani ke sath apni files ,videos,Photos ,Apps apne friends ke sath share kar sakte hain.Main apko jis app se mutaliq batane ja rha hu wo bohat hi acha hai aur us ka use bhi ham bohat asani ke sath kar sakte hain.Aj kal wo app bohat ziyada taizi ke sath use ki ja rahi hai.Us app se ap apni videos,apps,Mp3 files aur har tara ki files aik mobile se dosre mobile main share kar sakte hain.Ab ham daikhte hain ke us app ko use kaise karte hain.
Zapiya Se Files Kaise Transfor Kare

Zapiya Kiya Hai

Zapiya se aj kal kon waqif nahi hai.Bohat kam time main ye app bohat ziyada popular ho gae hai.Is app se ham android mobile se apni files dosre mobiles main share kar sakte hain.

Zapiya Kiyo Istimal Kare

Ap ke zehan main ye sawal a raha ho ga ke aur bhi apps/softwares hain jin se ham apni files transfor kar sakte hain.Phir zapiya hi kiyo? Main apko btata hu ke is ki waja kiya hai.
ü 1. Is ko use karna bohat asan hota hai.
ü 2. Is se files Bohat fast tranfor hoti hai.Ham bari se bhi bari files sirf few seconds main Transfor kar sakte hain.
ü  3..Agar hamare pass zapiya hai lekin dosre mobile main nahi hai toh tab bhi ham wo files send kar sakte hain jo Bluetooth se send nahi ho gi.
ü 4Zapiya kisi bhi kisam ka virus files main tranfor nahi karti.
ü5.  App Ise apne computer ke sath bhi connect kar ke Apps Softwares Install kar sakte hain
Ye the kuch futures jis ki waja se aj kal zapiya bohat popular hota ja raha hai.
Zapiya Se Files Kaise Transfor Kare
Wo frends jinho ne pehle zapiay use nahi kiya un ke zehan main ye sawal a raha ho ga ke ham zapiya se files kaise transfor kare. Ap kuch steps ko follow kar ke Files transfor kar sakte hain.Lekin us se pehle ap Zapiya apne mobile main install kar lain.
Step 1. 
Zapiya install karne ke liye niche link par click kare.
Step 2. 
Ab ap zapiya ko on kare Jab ap zapiya ko open kare get oh ap ko apne email ke through account bnana opare ga.Ap account Banain.(Agar ap apne mobile main pehle se gmail se login hain toh automatically account create ho jay ga.)
Step 3.
Ab apke samne kuch is tarha ki Vindow appear ho gi.Ap ne jo bhi ap,Video,File jo bhi send karna hai us par click kare.Toh apke pass aik chota sa pupop box open ho jay ga.Agar ap use open karna chahte hain toh open bhi kar sakte hain.Nahi toh send par click kar dain.
Step 4.
Ab search kare ga apke friend ko.Apne friends ke sath connect ho jain aur file share kar dain.

Apko ye Posts Bhi Parni Chahiye:
How to unlock andriod pattern
Pdf file kiya hai aur is ko andriod main kaise open kare
Andriod keyboard main apni pitcher kaise lagain
Internet data kaise save kare zaya hone se.

Zapiya Se Bluetooth Kaise Kare
Zapiya se Bluetooth bhi kar sakte hain ap.Agar apke friend ke pass zapiya nahi hai to hap use Bluetooth kar ke bhi file send kar sakte hain.Bluetooth karne ke liye ap app select kare.Jab app par popup box open ho jay toh us par More () par click kare get oh ap ko Bluetooth ka option nazar a jay ga.
Is ke ilawa ap zapiya se use uninstall bhi kar sakte hain.Us app,File ka property bhi check kiya ja sakta hai.
At Last

Friends ye tha Zapiya se files send karne ka method agar ap ko meri ye post passand aye ho toh mujhe comment kar ke zaroor batain.Agar ap ke zehan main koe bhi sawal ho to hap ham se comment kar ke puch sakte hain.Apne friends ke sath is post ko zaroor share kare.
Helpfull Posts
Andriod mobile se paise kaise kamain
Facebook se paise kaise kamain
Sim main free balance kaise hasil kare
Short links se paise kaise kamain
Next
This is the most recent post.
Previous
Older Post

Post a Comment

Thank You for comment

 
Top