Ham ne pichli post main daikha jke ham kis tarha adsense ke liye apply jkar sakte hain. Is post main ham daikhe ge ke Google Adsense ki kiya kiya policies hain.Jab ham Adsense ka form fill karte hain toh hamre pass us Aik pupop video open hoti hai jis main Goolge Adsense ki policies likhi hoti hain.Main wohi policies urdu/hindi main aj batane ja rah ahu ta kea p ko ache se samaj a jay ke Adsense ki kiya kiya Policies hain.Aur ham apne adsense  ko kis tarha save rah sakte hain. Agar ap Adsense ke liye apply karna chhte hain toh ye post ap ke liye bohat important sabit ho gi.
Adsense aisi servise hai ads ki jin ki aik bhi policies namani jae toh apka account disable ho sakta hai jis ki waja se ap ko bohat ziyada nuqsan ho ga.Is liye ye post dhiyan se pare aur samje ta ke ap apne account ko save rakh sake.
Adsense ki Policies badalti rehti hain jo kea p adsense ke Offical Page par daikh sakte hain.

Invalid Clicks And Impressions

Adsense ke ads par kabhi bhi khud click na kare aur na hi apne kisi dost ko bole click karne ke liya.Is ke ilawa ap koe bhai aisa software istimal na kare jis ki madad se Ads par click ho.Agar ap ne aisa kiya toh apka Adsens\e disable ho sakta hai.
Bohat se friends aisa karte hain ke wo khud hi clicks karna start kar daite hain jis ki waja se un ka account disable ho jata hai.Agar aik bar disable ho jay account toh dubara bohat hi mushqil se account milta hai is liye dhiyan rakhe.

Incouraging Clicks

Ap na khud ads par click kar sakte hain aur nahi kisi aur k obol sakte hain.Kiyo ke google bohat asani ke sath pakar laita hai jis waja se apka account band ho sakta hai.
Jab koe visitor hamari site par ata hai aur ads par click arta hai toh google daikhta hai ke visitor kis keyword ko search kar ke site par aya hai.Aur us ne ads par click kar ke dosri site open ki hai ya nahi.Is tarha ki aur bhi bohat se resounse hain jin ki waja se google hame asani se pakar laita hai aur hamara account band ho jata hai.Is liye aisi chizo ka dhiyan rakhe.

Content Guidelines

Adsense hame hargiz is chiz ki ijazat nahi daita ke ham un ke ads aisi site par lagain jis ke contant Adult hon.Ya aise software sites par lagain Jo crack softwarwes available karti hon. Yani har wo site jo iligal hon us par adsense ads lagane ki ijazat nahi daita is liye dhiyan rakhe.

Kon Si Sites Adsense Ke Miyar Ke Mutabiq Hoti Hain

Aisi sites google adsense ke miyar ke mutabiq hoti jin main
ü  Adult content na ho.
ü  Hacking se related content na ho.
ü  LaDae jagre wali sites nahi honi chahiye.
ü  Koe bhi aisa software ki jankari nahi honi chahiye jo paid ho lekin ap free main de rahe hon.
ü  Drugs wagera jaisi chizon ki jankari nahi honi chahiye.
ü  Hathiyar se related sites nahi honi chahiye aur nahi sites main aisa koe content mojud hona chahiye.
ü  Sigrat ,tabacco se related koe bhi jankari na ho site main.
ü  Porngraphy se related sites nahi honi chahiye.
ü  Aisi sites nahi honi chahiye jin main kisi ke bare main bhi galat likha ho.
ü  Koe bhi iligal chiz nahihoni chahiye site main.
In tamam chizo se agar ap ki site clear hai toh ap adsense ke ads apni site par use kar sakte hain. Is ke ilawa ap aisi sites par bhi ads use nahi kar sakte jin main

Copyright Content

Ap aisi sites par bhi ads use nahi kar sakte jin main copyright content mojud ho.Yani aisi site jis main kisi aur site se content chori kar ke lagaya ho.Is ke ilawa apki site par koe aisi site ka link bhi mojud nahi hona chahiye jis main copyright content ho.Agar ap ne apni site par Kisi dosri site se permission le kar content lagaya hai toh ap Is link par click kar ke form jama karwa sakte hain jis ke baad ap ads use kar sake ge.

Counterfeit Goods.

Ap Aisi site par adsense ke ads nahi laga sakte jo products sale karti ho aur wo product kisi aur company se copy ki hue hon.Kisi aur company ka brand use kar rahe hon.

Traffic Sources

Aisi site par ads nahi laga sakte jin main traffic opaid ho. Yani ap ne kisi aur company ko paise de kar traffic li ho aur wo traffic ap ki site opar ati ho toh ap aisi sites par ads nahi laga sakte.

Ad Behavior

Ap ads main koe aisi changing nahi kar sakte jis se ads ka look hi change ho jay. Yani ad koe aur ho aur dikhe koe aur ad. Lekin ap ads ka font , Color Size change kar sakte hain.

Ads Placement

Ap aisi jagah ads nahi laga sakte jaha adsense ki policies ke khilaf hon. Aisa karne se apka account band ho sakta hai.

Goolge Advertising cookies

Adsense Publishers ko ye batana pare ga un ki cookies main ke apki site cookies use karti hai ache ads dikhane ke liye.

(COPPA)

COPPA Ka mean hai Children’s online privacy  Protaction Act.Yani apki site jis par ads laga rahe hain ap wo bachon ke liye bhi bilkul saaf site hai.

At Last


Friends ap ne ye toh jan liya ke hame kaise sites opar Goolge adsense ads lagane ki ijazat nahi daita aur ham kaisi sites par ham ads laga sakte hain.Meri ye jankari kaisi lagi mujhe comment kar ke zaroor batain.

Post a Comment

Thank You for comment

 
Top