Hello dosto It Kamal main ap sab ka welcome hai.Facebook par mujhe mere ek friend ne pucha tha keg mail id se ham attack files kaise baijte hain toh maine socha ke kiyo na ek post is par bhi banae jay ta ke ap sab ki bhi help ho sake.
Aj maine apko bataoun ga ke ap gmail id se Attach files kaise send kar sakte hain.ham ne pichli post main daikha tha ke ham kis tarha gmail id create karte hain aur is ka faida kiya hai.Agar apne wo post abhi tak nahi pari toh pehle wo post par lain.Kiyo ke ap gmail ke bagair Attack files send nahi kar sake ge.Aur main apko yehi bataoun ga kea p gmail se Attach files kaise send kar sakte hain.
Attach Files Kiya Hain
Bohat se friends ke zehan main ye sawal a raha ho ga ke akhir attach files hain kiya.Attach Files Bohat si hoti hai jaise maan lain online aik book hai toh wo pdf file main hoti hai ,Templates hain jis tarha is tarha ki files jab ham kisi dosre ko send karte hain toh ham attach files se hi send kar sakte hain.Attach files aik tarha ki wo files hoti hain jinhe ham un ki asal halat main kisi dosre ko send nahi kar sakte toh hame us ka shork link hi send karna hota hai use ham attack files kehte hain.jaise .png .xml .pdf etc
Attach Files Baijne Ke Faide
Gmail se attach files baijna bohat hi asan hai aur is se ham bophat asani ke sath attach files baij sakte hain.Attach files baijne ka faida ye hai ke hame ziyada dair nahi lagti file baijne main.Aur bohat bari file ik chote se link main bohat jaldi dosre tak pohanch jati hai.Technology ke is dour main  attach files baijna aik bohat hi fast tariqa hai.Ham bohat bari chez ko ek chote se link main bohat dur tak bohat asani ke sath baij daite hain jis se hamara time bhi bach jata hai aur hame ziyada mushqilat ka samna bhi nahi karna parta.

Attach Files Kaise Baije

Ap ke zehan main ye sawal toh zaroor a raha ho ga ke attach files ham kaise baije.Attach files baijna bohat hi asan hai.Ap in steps ko follow kar ke Attach files send kar sakte hain.
Step 1.
Sab se pehle ap apne gmail par login ho jain. Gmail par log in hone ke liye ap yaha click kar sakte hain.
Step 2.
Ab ap ke samne gmail ka dashboard open ho chuka hai.Ab ap compose par click kare.
Step 3.
Ab ap ke samne ek box open ho jay ga us main ap gmail enter kare sab se pehle us ke baad subject likhe aur apna massage type kare.
Step 4. 
Ab sab se niche ek option ho ga us par click kare.
Step 5.
Ab ap apne computer se file select kare  ab apki file upload hone lage gi.Isi tarha ap aur bhi files aik sath send kar sakte hain.Aik or file upload karne ke liye Usi option par click kare.
Step 6. Sab se akhir main ap send ke button par click kar dain.Ab apki  file send ho chuki hai.

At Last

Ap ko ab samaj a gae ho gi kea p kis tarha gmail se attach files ko send kar sakte hain.Agar ap ke zehan main koe bhi sawal ho gmail se related to hap comment kar ke puch sakte hain.Is post ke niche jo share buttons hain un par click kar kea p apne friends ke sath is post ko zaroor share kare.

Post a Comment

Thank You for comment

 
Top