Bohat SE friends puchte hain ke ham apne blog ke liye adsense kaise banain? Wo friends jo abhi bilkul new hote hain un ke zehno main bohat se sawal hote hain ke Adsense kiya hai? JLog adsense ke liye apply karna chahte hain wo ye post bohat dhiyan se pare kiyo ke main is post main yehi batane wala hu kea p adsense ke liye kaise apply kar sakte hain?
Online paise kamane ke aur bhi bohat se tarike hain lekin Google adsenase sab se best way hai online paise kamane ka. Aur tqreeban har insan ki passand hai adsense.Jo bhi online paise kamana chahta hai is ki yehi khuwahish hoti hai ke wo online paise kamane ke liye  Google Adsense ka account banay.Lekin Pakistan Aur India main is ki terms and conditions bohat strick hain.Jis waja se Adsense jaldi approve nahi hota. Maine apni ek post main detail ke sath bataya hai kea p google adsense se paise kaise kama sakte hain aur kab adsense ke liye apply kare.Agar apne meri wo post nahi pari toh wo post zaroor pare.
Aaj main ap ko bataoun ga ke Ap kis tarha google adsense ke liye apply kar sakte hain.Google adsense ke liye hamare pass Website ya Youtube Channal hona lazmi hai.In ken a hone se ap adsense ke liye apply nahi kar sakte. Maine apni site main blog Banae ki bohat si posts publish ki hue hain agar apne nahi pari toh pehle Wo Posts zaroor pare.

Google Adsense Ke Liye Kaise Apply Kare

Google Adsense kiya hai ye to hap jante hi hain.Aj ham baat kare g eke adsense ke liye apply kaise kare. Main aopko adsense ke liye apply karne ka full guid karu ga is liye ye pust pure dhiyan se read kare.
Adsense ke liye apply karne ke liye apko in chezo ki zaroorat hai.
1.       Gmail Id
2.       Website/Blog (Blog banana ki opuri jankari urdu main)
3.       Adress/Phone number
Agar ap ke pass ye 3no chize majud hain toh ap abhi adsense ke liye apply kar sakte hain.Ham daikhte hain ke Kaise apply karte hain aur adsense kaise banate hain.
Step 1. 
Sab se pehle apko adsense ke liye apply karne ke liye google adsense ki site par jana hota hai. Google adsense ki site par jane ke liye click kare.
Step 2.
Jab ap Goolge Adsense ki site par pohanch jain toh apko Apni gmail id se log in karna ho ga.

( Putcher)

Jab ap apni gmail id se log in hon ge toh apko kuch aisa nazar aye ga.

(Putcher)

Ap ka jo gmail id bana hai agar usi main se apko adsense bnana hai toh Login with current account par click kare.
Step 3.
Ab jo page khule ga us main apne apni website ki detail dalni hai.Aur apni website ki language bhi select kare.Jis language  par apki website hai wohi select kare.

(Pitcher)

Step 4.
Ab ek form open ho ga us form ko apne bohat dhiyan ke sath fill karna hai. Ye form bohat ziyada important hai. Ap apni  details bohat dhiyan se dale is form main.

(pitcher)

1.       Apni country select kare.
2.       Apne country ka time select kare (+5:00 Karachi). Jab ap country select kare get oh automaticly time zone Karachi ho jay ga.
3.       Agar ap apne liye hi  Adsense select kar rahe  hain toh Individual select kare.
4.       Apna name Dale.
5.       Apna address enter kar. (Yaad rakhe address bilkul sahi hona chahiye us par google ki taraf se ek code aye ga jis ko verify karne ke baad hi apko payment mile gi.
6.       Primary Contact main apna name likhe.
7.       Apna mobile number dale.
8.       Apna email dale form main.
9.       Apko adsense ke bare main kaha se pata chala wo select kare.
10.   Agar ap adsense se jankari chahte hain email par toh options ko yes kar dain.
11.   Submit My Application par click kar dain.
Step 5.
Ab apko apna mobile number verify karna hai.

(Pitcher)

Mobile number dal lar call ya sms select kare aur Send Verification Code par click kar dain.
Step 6. 
Apke number pe ek code aya hai use is box main dal kar verify kar lain.

(Pitcher)

Step 7.
Jab apka number verify ho gat oh ek popup vindow open hoi gi us main adsense ki Terms And Conditions Hain un ko dhiyan se read kare.Ab yes kar ke  Accept kar click kar dain.

(pitcher)

Apne adsense ke liye apply kar diya hai.Ab adsense ki team apki site check kar ke apko email kar de gi. Adsense ka email ane main 1-2 din bhi lag sakte hain aur is se ziyada time bhi ho sakta hai.Is liye adsense ki taraf se ane wale email ka wait kare.
At Last
Main apko clear kar du kea p adsense ke liye apply karne ke liye jald bazi na kare. Kiyo ke agar aik bar adsense disprove ho jay toh dubara use approve karwana bohat mushqil hota hai.Is liye pehle ap asdsense  ki terms and conditions par dhiyan dain.Us ke baad adsense ke liye apply kare.
Agar apko is post se related koe question puchna hai to hap mujhe comment kar ke puch sakte hain.Niche Share ke button par click kar ke apne friends ke sath ye jankari zaroor share kare.


Post a Comment

Thank You for comment

 
Top