Hello visitors ap sab ka It Village main welcome hai.Aj kal har koe sites bana raha he or online paise kamane ki koshash kar raha hai.Lekin kuch log apne busnise ko promote karne ke like sites banate hain.Or jab ham apni post main artical likhte hain toh ham chahte hain ke hamara artical ziyada se ziyada log read kare.Hamari khuwahish hoti hai ke hamari post jald se jald google me a jay.
 Lekin ap ko pata hai ham kitni mehnat kar ke apne articals likhte hain. Lekin  hamare post ko Google search ingine main index hone main 3,4 din lagte hain. Jis ki waja se ham bohat preshan hote hain.Lekin ab preshan hone ki zaroorat nahi aaj main apko aik aisi trick btaoun ga  jis se aap bohat asani ke sath or bohat jald  apni post Google search engin main index kar sakte hain.
Aj main apko  btaoun ga ke ap kuch hi mints main apni post kaise search ingine main add kar sakte hain bohat asan tariqa hai. Ap bas mere steps ko follow karte jain or is post ko dhiyan se padhe.

Seo se related articals.

Google Search Consol

Apni post ko google search ingine main kaise submite kare?

Apni post ko google search  ingine main index karna ziyada mushkil kam nahi  hai .Webmaster tools ke bare main jankari zaroor honi chahiye apko.Ta ke ap asani ke sath apni post google me index kar sake.Main apko Pichli post main  pehle hi bata chuka hu ke Sitemap blog main kaise submit karte hain agar ap ne wo post nahi pari toh pehle wo post par lain.Ta ke apko asani ke sath is post ki samaj a jay.
Toh friends ab time zaya na karte huwe main aj ap ko btata hu ke ap apni post Kuch hi mints main Google main kaise index kar sakte hain.Ap mere steps ko follow karte jay or is post ko ghor se pare ta ke ache se samaj sake ap. 

Step 1. Sab se pehle ap Google Search Consol main log in ho jain.
Step 2. Apki website open ho gi us par ap click kare.
Step 3. Search consol ke dashboard me chale jain ge. 
Step 4. Ab ap Craw>fetch as google par jain.
Step 5. Ab aik page khule ga jismain apne apni post ka link add karna hai. Jaise maine kiya hai. Image main daikh sakte hain ap.
Step 6. Ap post ka url dalne ke baad Submit par click kar de.
 Ab apki post successfully add ho gae hai. 
Step 7. Ab ap Submit to index par click kare.aik pupop window open ho gi us main ap 
Crawl only  url  par click kare.
Step 8. Ab Go par click kar dain.

Dosto ye tha aik method jisse ham bohat jaldi or asani ke sath apni post google main la sakte hain. 
It Village Ki post apne doston ke sath bhi share kiya kare ta ke ap ke doston ki bhi help ho sake.Mujhe umeed hai ke ap ko ye post bohat passand aye ho gi. Agar koe problem ho toh mujhy comment kare apki puri help ki jae gi.

Post a Comment

Thank You for comment

 
Top